“Lais lil insani illa ma sa'a apni koshish se milega. Aur yeh madrasay mein mujhe yeh sabak mila tha. Jab mein madrasay mein tha to wahan par Maulana Akhtar Hasan Islahi hamare ustad the.”
“Yeh doosre lafzon mein aap yeh keh sakte hain, yeh bhi mein ne wahin paya ke Quran mein jo ayat hai wa amma ma yanfa'un nas fa in kuntu fil lard lekin mein aksar yeh kaha karta hoon ke Quran ki ayaton ko ya hadith ko jab tak aap apne familiar words mein convert na karein, tab tak aap samajh nahi sakte us ko.”
“To jab tak us mein woh convert nahi kareinge aap, aap ko woh baat samajh mein nahi ayegi. To yeh jo Quran majeed mein ek wa amma ma yanfa'un nas fa in kuntu fil lard aur hadith mein aata hai ke illa tanfa'u fala tadurruhu is se mein ne kya baat nikali?”