“to woh khaleefa the, Umayyad khaleefa. to un ke ek wazir ne, ek un ke ek governor ne kaha ke log Islam qabool kar rahe hain, is tarah se to Islam ka, yani maliya ghat jayega.”
“ek dam khamoshi us ko tolerate karte rahe. jab hijrat hui aur aap Madina aaye to wahan par bahut sare Yahood rehte the. Yahood ki rai se aap ne Ashura ka roza rakhna shuru kar diya.”
“yahan tak ke shuru mein, jab ke jo masjid nabwi nahi bani thi madina mein, to unhi ke qibla ki taraf rukh kar ke aap namaz parhne lage madina mein, aur taqreeban 16 mahine tak aise hi karte rahe.”
“to chunache Rasool Allah ne jo farmaya tha ke baad ko aisa hoga ke dukhhan paida ho jayega. ek hadith mein hai ke jab tumhare andar talwar dakhil hogi to phir kabhi woh niklegi nahi.”
“to rasool Allah ne goya ke ek encourage kiya tha ke ijtehad karte raho taake kabhi aisa na ho ke tum tumhara qafila jo hai kahin blind ali ja ke phans ke reh jae.”
“Quran mein saaf saaf yeh kaha gaya hai ke lakum rasool shaheedan alaikum wa takunu shuhada al-nas yaani ummat e muslima ki hesiyat dawat ki hai, daai ki hai.”
“dawat, dawat ila Allah. yeh baat hadith mein kahi gayi hai. hadith mein do do riwayatain aain hain, ek woh hai ke antum shuhada Allah fi al-ardh ke tum yaani ahle iman Allah ke daai hain is zameen par.”
“isi liye alfaaz aaye hain hadeeson mein is tarah ke ke ta'abur bil maroof tanaahi an al munkar. ta'abur ma'ani aapas mein koi amr karna, tanaahi ma'ani aapas mein rokna.”
“musalmanon mein yeh spirit hona chahiye apne andar daakhili islaah ke liye ke jahan koi musalman dekhe kisi ko, wahan us ko toke. jaise hadees mein aata hai ke momin baraat momin to aapas mein ek doosre ko batate rehna, aap aapas mein ek doosre ko tokte rehna.”